Kabhi is topi aur kabhi us pagdi me aatye hain
Hum bhi kya shakhs hain ,har dharm me samatey hain.
Baat alag hai, logo ko pasand nahi hai ye aata
Mai unka bhi khayal rakh leta gar kaam chal jata.
Mushkil unki hai unka bhi dharm manta hoon mai.
Kafir kaise kahain mujhko, jamini haqiqat janta hoon mai.
Har jeet ki ladai me to keval janver shamil hain
Sirf insaniat ki bhasha meri kul tamil hai.
No comments:
Post a Comment